Send dua message on the auspicious occasion of RAMADAN
1. Woh sehri ki noraneyat,
Woh iftaar ki raonaq,
Woh aasman se rehmat ka barasna,
Woh masjidun ka rooh parwar manzar,
Woh naikiyon ka jazba,
Woh tilawat ki dhoom,
Jee han rehmat wala maghfirat wala
or azab se nijaat wala mahena
RAMZAN chal raha hai,
Duaon main yaad rakhiyega..
2. Hon Ap Per RAMZAN Kee Hazaron Barkatain Nazil,
Na Ho DiL Aik Pal Bhee IBAADAT Say Ghaafil,
Ap Kee Har DUA Ho kabool Kamil,
Or Un Duaon Meyn, Main Bhee Hon Shamil
3. Kyun Kar Na Meray Dil Mein Ho Ulfat Rasool Ki
Jannat Mein Lay Kay Jaey Ghi Chahat Rasool( Ki
Chalta Hoon Mein Be Qafelay Walo Ruko Zara
Milnay Do Bus Mujhay Be Ijazat Rasool Ki
Phochay Jo Din-O-Iman Nakerain Qabr Mein
Us Waqt Meray Lab Pay Ho Midhat Rasool Ki
Tarpa Kay Un Kay Qadmo Mein Mujh Ko Gira Day Shok
Jis Waqt Ho Lahad Mein Ziyarat Rasool Ki
4. Wo SAHRI k liye sister ka uth k khana banana
Wo khana bana k sister ka mujhe ko uthana
Na uthny pr phir barhy bhai ka aa k mujh ko jagana
Phir wo saare bahin bhaiyoun ka mil k SAHRI karna
Wo kabhi time kam hony pr jaldi jaldi SAHRI karna
Wo SAHRI k baad Namaz parhna aur phir
TILAAWAT karna
Mujhe yaad hy ab tak wo sara zamana
Ramazan ka pahla Roza Mubarak ho
5. Ay ALLAH
“Mujhe Ramazan k liye salamat rakh
aur Ramazan ko mere liye Rehmat bana
Aur mere liye Ramazan ko Maqbool bana
kar Salamat rakh”
( A M E E N )
6. R-Roza Rakho
A-Allah se daro
M-Masjid ko jao
Z-Zakat banto
A-A?1/2maal ache karo
N-Namaz parho
Aus is banday ko dua main yaad rakho
7. Dua-e-Ramadan
1
Kaam
Karna
Har Sehri Se Pehle
Har Namaz K Bad
Har Iftaar Se Pehle
Har Taraweeh K Bad
Har Tilawat Se Pehle
Har Tahujjad K Bad
Har Taaq Rat Me
Salat Ut Tasbeeh K Bad
Sirf
1
Chota
Sa
Kaam
Karna,
Sirf
Apni
Dua
K
Chand
Alfaaz
Mere
Naam
Karna,
Apni Duaon K Khas Lamhat Me
2 Jahan Ki Afyat Mangna
Dozakh Se Nijaat Mangna
Rizq-E-Halal
Husn-E-Akhlaq Mangna
Ishq-E-Rasool
Shukar Karne Wali Zaban
Sabar Karne Wala Dil Mangna
TALIB-E-DUA
8. Hazrat Usman Bin Abi-ul-A’as R.A Biyan Karty hein,
Ke Mainy Mohammad ko farmaty suna,
Roza Jahanum ki aag se dhal hai
jaisy tum mai se kisi ke pass larai ke liye dhal ho
9. Ramazan ka chand daikha,
Rozay ki Dua mangi,
Roshan sitara daikha,
Aap ki khairiat ki dua mangi,
May Almight Allah Bless You with His
Blessing in the Holy month of Ramazan
( A M E E N )